ishq ab mel se be-mel hua jata hai mera gham un ke liye khel hua jata hai mashghala ashk-fishani ka tha pahle bhi magar ab to ye shaghl dhaka-pel hua jata hai husn aur ishq ka jhagda bhi koi jhagda hai wo ladai hui ye mel hua jata hai husn yun khush hai ki hai tisre bachche ka nuzul ishq yun khush hai ki pachmel hua jata hai gundh ke phulon mein tere sarw se qad par gesu khushnuma phuli-phali bel hua jata hai hukm begam ke chala karte hain jelar ki tarah ab mera ghar bhi mujhe jail hua jata hai is qadar sarf ilahi mere khun-e-dil ka ab mohabbat ka bajat fail hua jata hai kahin bujh sakta hai 'machis' ye mohabbat ka charagh jism ka khun hi jab tel hua jata hai