kis ki aarzu thi main kis ki ho gai hun main ki khud ko bhi nahin milti kahin to kho gai hun main yahi thi chahti kahna kuchh aur hi kah gai hun main faraez tere parche mein saf-e-awwal rahi hun main rahin-e-ashiqi hun main musalsal tukdon mein ji kar musalsal mar rahi hun main hai sab se ittifaq apna ki khud se lad rahi hun main ye izzat bojh hai shayad jahan par dab gai hun main har ek shab jagte guzri ki sone kab gai hun main sada tahzib bhi hun main sada tahrik bhi hun main kabhi tu ghaur to kar le kahin tafriq bhi hun main kabhi bezar bhi hun main kabhi gham-khwar bhi hun main agar kuchh waqt pad jae suno talwar bhi hun main khadi hai jo ki tufan mein wahi chattan bhi hun main mukammal ek nazuk sa koi gul-dan bhi hun main ai ibn-e-adam-e-dawar khayal-e-bint-e-hawwa kar