sard ho chuki mahfil aur tu ne parwane khwahishon se begane jaan se guzarne ka khel hi nahin khela bujh gaya tera bhi dil sard ho chuki mahfil aadmi ko jina hai ham-kanar-e-gham ho kar lutf-e-zindagi kho kar aaj aur kal barson bebasi ke bal barson zahr-e-zist pina hai aadmi ko jina hai umr par na ja us ki ye tawil majburi apni asl se duri wajh-e-dard-e-hasti hai nang-e-nan-o-masti hai umr hai saza us ki umr par na ja us ki dekh raat jati hai uth bhi ja lapak kar aa ban-sanwar chamak kar aa subh hone se pahle maut hi se dil bahle shama jhilmilati hai dekh raat jati hai