jahan main hun hazaron khwahishen aasudgi ki zindagi ka pairahan ban kar meri majburiyon ko apne daman mein chhupati hain takhayyul ka jahan aabaad gahe kuchh nae lekin hazaron waqt-khurda khush-nazar goshon ki zindani tilsmati faza mein dilkashi ka nur bharta hai inhi goshon mein aawara khirami ki hikayat mujh ko kaif-e-sarmadi ke be-zaban lamhon ki ranai se ham-aghosh karti hai shabana roz ki jehd-e-musalsal se anokhi azmaton ke daeron mein la ke na-asudgi ki zindagi ko main kamal-e-andaz istighna se apnata hun apne ji mein ye thane koi us ko na jaanega koi mujh ko na paega zamane ki haqiqat mein nigahon ko bhala roka kisi ne asal ki tag tak pahunchne se ye meri dil-girafta kaifiyat jis ne piya hai zindagi-bhar khun-e-rag-e-jaan ka barahna baat kahne par bhi mujh ko is tarah uryan nahin karti nigah-e-ahl-e-dil mein fash karti hain mujhe jaise meri majburiyan jin ki pyas ranj-e-mahrumi tah-e-daman lahu se apne sincha tha