ishq-e-watan mein jab se diwana ho gaya hun paida shajar ho jis se wo dana ban gaya hun be-shak zamin mein mujh ko khush ho ke ab mila tu dard-e-zaban hun sab ka afsana ho gaya hun qurban hun adu ke zor-e-sitam ke sadqe sah sah ke ranj-o-gham ko mardana ho gaya hun dil mein charagh jab se raushan hua watan ka parwa na jo ki kuchh bhi parwana ho gaya hun saqi sharab teri ab kya asar karegi hubb-e-watan ki mai pi mastana ho gaya hun tasir-e-ishq yaro dekhi teri nirali pi pi sharab-e-ulfat begana ho gaya hun