mujhe tum yaad aa jao to main pahron roti rahti hun tumhaare bazuon ka hisar tod kar main ja bhi kahan sakti hun tum ko chhod kar main mar na jaun tumhaari ret jaisi aankhen aise mujhe dekhti hain jaise main thal kei barish hun aur tumhaari har mahrumi ka izala