wo jitne rang malal ke hain hum kya jaanen kis haal ke hain hum rahi dasht-e-khayal ke hain aur sail ek visal ke hain hum hijr ki mar se darte hain aur ishq ki baaten karte hain hum aql ke tane-bane hain mat samjho hum mastane hain in rahon se begane hain bas nam ke hi diwane hain hum nam-o-numud pe marte hain aur ishq ki baaten karte hain hum hosh ke shahr mein rahte hain aur mauj-e-tarab mein bahte hain kab kaun sa sadma sahte hain bas khwab ka qissa kahte hain hum jhuti aahen bharte hain aur ishq ki baaten karte hain