ghulamon mein itni basirat kahan thi ki wo apne khwabon ki tabir bhi dekhte wo to khwabon ki pahli chamak se hi andhe hue the aur andhon ke hathon mein aaya nizam-e-taghayyur to har chiz ki asl hi hum se gum ho gai koi tartib baqi nahin hai nizam-e-jahan tutta hai jo aashiyan mein ek rabt tha wo bhi gum ho chuka hai magar koi aisa nahin hai jo andhon ko aankhen dila de