zamin pe patte bikhar rahe hain khunuk hua ke udas jhonke gai ruton ki talash mein hain khizan-zada bagh-e-be-bahaaran ye kah raha hai ki mujh ko dekho ajib din hain ajib raaten shikasta-pa be-nishan sawere mera muqaddar hain bas andhere na ab parinde shajar pe gate hain git koi bas ek be-nam fasla hai jo kohna pedon ke darmiyan hai ye girte patton ki dastan hai buland-o-baala darakht tanha fasurda jangal ke darmiyan ab lute khade hain ki sare manzar sisak rahe hain tamam jangal sukut-e-gham ke hisar mein hai hamare hathon se mishal-e-khwab kis ne chhini hawa nahin hai to kaun mujrim hai, kuchh batao ye sham patjhad ki daimi to nahin hai 'nazish' bahaar ki subh aane wali hai gham na karna ummid ka jo diya jalaya hai, us ki lau ko hawaon ke dar se kam na karna jo kulfaten hain jo wahshaten hain ye zindagi ki haqiqaten hain