raat abhi aadhi guzri hai shahr ki raunaq bujhi nahin hai thake nahin hain us mahfil ke saz abhi tak yaad ke baala-khanon se aati hai kuchh aawaz abhi tak main ki zawal-e-shahr ka nauha likhne wala ek purana qissa-go hun alamaton ke jangal se sandal ki lakdi hath mein le kar aiwanon se guzar raha hun sazinde ab aakhiri thap ki mahrumi shab ki mizan par tol rahe hain dhime suron mein sust parinde apni boli bol rahe hain udhar gali mein muarrakhin-e-bab-e-mashriq nai kitaben khol rahe hain raat abhi aadhi guzri hai lekin subh-e-nau ki kirnen apna rasta dhundhti misr ke bazaron mein utar rahi hain aadhi raat ke baad tabl bajta hai taza manzar ka mujhe bhi sara hisab barabar karna hai apne ghar ka