jo tu taswir karta hai jo main tahrir karta hun na tera hai na mera hai magar apna hai ye jab tak ise padhne mein kitni der lagti hai abhi mahaul ko chaaron taraf se habs ke sahra ne ghera hai magar kab tak hawa chalne mein kitni der lagti hai koi zanjir hai shayad hamare panw mein aur rah mein kafi andhera hai magar kab tak diya jalne mein kitni der lagti hai hawaen baadbanon se ulajhti aur kahin naqa-sawaron ko koi paigham deti sham ke aanchal ko thame sahilon ki samt aati hain parinde daeron mein udte phirte abr ki chadar mein lipte rang barsate fazaon mein safar ki dastan likhte thikanon ki taraf jate hue manzar ko apne aks mein tabdil karte hain achanak sar-phiri maujen mujhe chhu kar guzar jati hain aur main apne talwon se nikalti sansanati rit ki sargoshiyan mahsus karta hun wahi main hun wahi asbab-e-wahshat hain wahi sahil wahi tu hai wahi hansti hui aankhen teri aankhon mein rangon aur khwabon ke jazire jagmagate hain sar-e-mizhgan rupahli saaton ke istiare muskuraate hain hansi mahtab banti hai phir is mahtab ke chaaron taraf aawaz ka haala ubharta hai aur is haale mein teri ungliyan nadida manzar ko tilism-e-khwab se aazad karti hain tere hathon ki jumbish dhup chhanw se dhanak tartib de kar khali taswiron mein khadd-o-khal ko aabaad karti hai teri palken jhapakti hain sitare se sitara aan milta hai ki jaise sham hote hi subuk aasar lahron mein kinare se kinara aan milta hai ye jo kuchh hai bahut hi khubsurat hai magar us ke liye hai jo ye sab mahsus karta hai tujhe malum bhi ho jae to kya farq padta hai abhi din ka thaka haara musafir dhup ke kheme samete dur pani mein utarne ke liye be-tab hai dekho ye nila aasman apni garan khwabi mein khud gharqab hai dekho na jaane kyon samundar dekhne walon ko suraj dubne ka khauf rahta hai koi hai jis ko ism-e-ab aata ho kinaron ki tarah har lamha kat girta ho zer-e-ab aata ho samundar aasman ki rahdari hai magar is rahdari tak pahunchne ka koi rasta badi mushkil se milta hai ye ism-e-ab sahil par khade nazzara۔binon ki samajh mein kis tarah aae ki ye to dubne walon pe bhi mushkil se khulta hai magar kab tak ise khulne mein kitni der lagti hai