zamin-dar

junun-e-hakimiyyat khud pasandi ka ye lawa
kyun ubalta aur bahta ja raha hai

sari dharti par
kahan se hukm aata hai

ye kaisi soch ke pairae mein
tum dhaale jate ho

ki nafrat aur gahri ho rahi hai
zamin-zado

badan dharti mein bone se
faqat qabren hi ugti hain

lahu bahta raha to
mehr-o-wafa ehsas ke

sab bahte dariya sukh jaenge
zamin-zado

ye kaise khauf ke andhe kunen mein
qaid hain sare

ki ek duje se bachne ke liye
hum bam banate hain

aur ek duje pe shab ki tirgi mein
war karte hain

zamin-zado
zamin taqsim kar ke

sarhaden kis ne banai hain
wo din bhi aane wala hai

parindon ke liye bhi
jab koi qanun aaega

sipahi fakhtaon ke paron ko bhi tatolenge
parinde dil mein sochenge

hamein insan ne
kyun apni saf mein kar liya shamil

ye kis ne haq diya hai is ko
hamein apni tarah samjhe

hamein apni tarah soche
zamin-zado

khala ka zakhm badhta ja raha hai
pahadon ki safedi mein pighal kar

ab nadi ki aankh si bahne lagi
kabhi manzar dhuen mein

qaid hote ja rahe hain
zamin-zado

gulon se titliyan aur titliyon se bagh mat chhino
ki ab to sharm aati hai

meri pahchan hone par
mujhe insan hone par

zamin-zado


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close