ism-e-azam

main mashhur ho gaya hun
achanak itna ziyaada

ki wo log mujhe bura kahne lage hain
jo kabhi mujhe mile hi nahin

jo mujhe jaante hi nahin
maherin-e-nafsiyat kahte hain

ghair-haqiqi duniya mein rahne wale
jazbaati log

khud ko hero samajh kar
jagti aankhon ke khwabon mein

apni marzi ke wilen takhliq kar lete hain
is ghalat-fahmi ka talluq

un ke shuur se nahin hota
un ke aamal se nahin hota

un ke shajre se nahin hota
ye ek zehni aariza hai

is liye
mujhe kisi se shikayat nahin

marizon se hamdardi hai
aur thodi si khushi bhi

ki galiyon se kali karne wale
kuchh logon ko

mera nam le kar
taskin milne lagi hai

mera nam
ism-e-azam ban gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close