lapata

main lapata ho gaya hun
kai hafte hue

police ko report likhwae
tab se roz thane jata hun

hawaldar se puchhta hun
mera kuchh pata chala

hamdard police afsar mayusi se sar hilata hai
phansi phansi aawaz mein kahta hai

abhi tak tumhaara kuchh suragh nahin mila
phir wo tasalli deta hai

kisi na kisi din
tum mil hi jaoge

behosh
kisi sadak ke kinare

ya buri tarah zakhmi
kisi aspatal mein

ya lash ki surat
kisi nadi mein

meri aankhon mein aansu aa jate hain
main bazar chala jata hun

apna istiqbaal karne ke liye
gul-farosh se phul kharidta hun

apne zakhmon ke liye
chemist se

marham-patti ka saman
thodi rui

aur dard-kusha goliyan
apni aakhiri rusumat ke liye

masjid ki dukan se ek kafan
aur apni yaad manane ke liye

kai mom-battiyan
kuchh log kahte hain

kisi ke marne par
mom-batti nahin jalani chahiye

lekin wo ye nahin batate
ki aankh ka tara lapata ho jae

to raushni kahan se laen
ghar ka charagh bujh jae

to phir kya jalaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close