istiare dhundhta rahta hun main dhup mein udti sunahri dhul ke bhed sat-rangi tilismi phul ke jaane kis ke panw ki maddham dhamak dhyan ki dahliz par sunta hun main istiare dhundhta rahta hun main jaane kis rangat ko chhu kar shahr mein aati hai sham bhul jata hun gharon ke raste logon ke nam ek an-dekhe nagar ka rasta is safar mein puchhta rahta hun main istiare dhundhta rahta hun main ghaib ke shahron se aati hai hawa phul sa udta hai tere jism ka wasl ke dar kholti hain ungliyan khun mein ghulta hai tera zaiqa aate jate mausamon ki ot mein tera chehra dekhta rahta hun main istiare dhundhta rahta hun main