ek nae daur ki tartib ke saman honge dast-e-jamhur mein shahon ke gireban honge barq khud apni tajalli ki muhafiz hogi! phul khud apni latafat ke gireban honge naghma-o-sher ka sailab umad aaega waqt ke sehr se ghunche bhi ghazal-khwan honge naw manjdhaar se be-khauf-o-khatar khelegi nakhuda barbat-e-tufan pe rajaz-khwan honge rah-rau apni masafat ka sila mangenge rahnuma apni siyasat pe pasheman honge rast-guftar ki hain naqid-e-aulad-e-farang waqt kahta hai ki phir dakhil-e-zindan honge tu kahan jaegi kuchh apna thikana kar le hum to kal khwab-e-adam mein shab-e-hijran honge