ubal raha hai tarannum chhalak rahi hai sharab piyo piyo ki nae sal ki kiran phuti magar ye kaun hai har bar mujh se kahta hai tera khumar bhi jhuta sharab bhi jhuti wo dekho bint-e-kalisa ki nilgun aankhen jhuki jhuki si hain palken magar subu degi ye chikh han ye tamaddun ki ek hichki thi isi dayar mein insaniyat lahu degi magar lahu to tapakta hai surkh doron se usi lahu mein sharabor hain lab-o-rukhsar magar ye kis ka lahu hai jo mujh se kahta hai mere ubaal se badhta hai zindagi ka waqar sukun sabr qanaat najat taqdiren ye borzai tamaddun ki istelahen hain qadam uthe hain to manzil pe ja ke dam lenge meri nigah mein duniya ki shahrahen hain main jaanta hun ye tahzib ji nahin sakti yahin hayat ka zakhmi sukut tutega kaho kaho mere jaan-baz sathiyon se kaho isi ufuq pe naya aaftab ubhrega