wo bhi ek achchha musawwir tha pichhle balwe mein hi us ke donon bazu kat gae aur us balwe mein us ki donon aankhen bujh gain nur-e-fitrat ki sabhi shaklen mitin badi mushkil se us andhe musawwir ko ek kamra chaal mein hi mil gaya aur padosan ke wasile se jawan beti ko bhi kar-khane mein sada ki tisri pali mili ab wo man ki god mein raaton ko soti bhi nahin mang afshan chudiyon ki zid mein roti bhi nahin