itna kiya ki rah mein kanTa nahin hue

itna kiya ki rah mein kanta nahin hue
itna rahe ki aankh mein aansu uga liya

itna khile ki dard mein taza rahi hansi
itna mite ki panw ne do gaz bacha liya

itna khule ki khwab mein khulti hai jitni aankh
itna bandhe ki sans mein sabza uga liya

itna jhuke ki hath dua se nahin gira
itna uthe ki pith hatheli ko pa liya

itna chale ki nim-udasi mein us ki baat
itna ruke ki yaad mein tanka laga liya

itna raha ki aankh mein jumbish bani rahi
mitti mein ek rang tha jis ko bacha liya

jab tak rahe usi ke rahe us gali mein hum
khud ko bhi darmiyan se aakhir hata liya

baqi to zindagi ki kahani tawil hai
puchha gaya to qafiya hum ne mila liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close