man li sarkar ne jab mang sheristan ki shairon ne sans li tab ja ke itminan ki purkashish tha is qadar un ke liye taza watan chhod kar aabai ghar jaane lage ahl-e-sukhan 'amn' 'mulla' 'arsh' 'saghar' 'wajd' 'jazbi' aur 'firaq' apna apna qafila le kar chale ba-tamtaraq band kar di 'sahir'o-'sardar' ne filmi dukan le ke nikle inqilabi shairon ka karwan sath 'alwi' ko liye nikle 'khalil'-o-'shahryar' aage pichhe kul jadidi the qatar-andar-qatar gungunate git gate 'bekal' utsahi chale tanziya ashaar kahte 'furqat'-o-'wahi' chale yunhi sare mulk se kul sha'iran-e-har-zaban su-e-manzil chal pade le le ke apni toliyan sal-bhar mein shairon se mulk khali ho gaya inkhila un ka mukammal aur misali ho gaya aam takhmine ke ru se un ki tadad-o-shumar tul-o-arz-e-mulk mein thi do karod iksath hazar naql-e-abaadi ke is tarikh-saz iqdam se kuchh masail hal hue kuchh masale paida hue uth gai jab mulk se ashaar-sazon ki baraat kuchh ghizai mushkilon se qaum ne pai najat dafatan be-rozgari ki waba bhi kam hui zor shorish ka ghata sarkar mustahkam hui family mansuba-bandi ki zarurat ghat gai bap-man par thi jo pabandi wo fauran hat gai