salakhon se udhar kuchh darakht, ek sadak, kutte ki zanjir thame ek aadmi aur ek dor jis par rang-birange kapde sukh rahe hain jismon ke baghair ye kapde, bachchon ke baghair ye maidan mohabbat ke baghair ye raste duniya kitni chhoti nazar aati hai rang-birange kapde sukh jaane par ek aurat aaegi tab ek ek kar ke ye qamizen, patlunen aur faraken apne apne jism hasil kar lenge tab maidan bachchon se aur bachche khushi se bhar jaenge ye chhoti si kaenat rangon se bhar jaegi itne bahut se rang ai aurat, itne bahut se rang!