mujhe be-rahm hasti ke ziyan-khane mein kyun bheja gaya kyun halqa-e-zanjir mein rakh di gain be-tabiyan meri har ek manzar meri nazron ka juya tha farozan shakh-saron par hujum-e-rang-o-bu udta hua bar-rawan simab-pa maujen saba ka raqs-e-be-parwa shab-e-mahtab ka afsun mah-o-anjum ke raqsan daere ru-e-shafaq taban ufuq dariyaon ki raftar shab ke jagte asrar sahra ka munawwar sina-e-uryan tilism-e-be-karan ke khwab-gun sae meri raaton mein misl-e-barq lahrae sitaron ki tajalli mein tha harf-e-kun ka afsana bada faiyyaz tha fitrat ka kashana kai sahra mere gam-e-tamanna ke shanasa the wo harf-o-saut ki wadi wo zauq-e-sher ka jada wo irfan ke gurezan aastanon par jabin-sai wo danish ki pazirai wo mani ki ghaneri chhanw mein zehn-e-rasa ka kashf wo asrar ke parde ke pichhe dil ki mahshar-khez aawazen dil ki mahshar-khez aawazen wo gham-ha-e-nihani se farozan zauq-e-binai wo daman ka har ek khar-e-mughilan se ulajhna tul-o-arz dasht-o-dariya par kar jaana wo har zarre mein dharti ki sada sunna wo har qatre ke aaine mein nur-e-husn-e-mutlaq ka larazna dil-e-nazar harf-o-hunar ka ek ho jaana takallum justuju raftar-o-gham ka muddaa pana koi isa-nafas deta tha nam-e-zist nazrana larazta iltihab aagahi se tha meri nazron ka paimana gurezan saaton ke karwan ko kis ne pakda hai nazar mahw-e-maal-e-dosh-o-farda hai kai diwar-o-saqaf-o-saiban ke munjamid chehre kai unchi fasilen rah mein hail kai be-faiz kawish-ha-e-tanhai kai be-mehriyan paikar be-mafhum pur-mail kai tiron ne meri khema-gah-e-shaq ko cheda kai tarkash hue is jism par khali hui jati hai razm-e-zindagani muzmahil ghayal nishat-o-dard ki wo khosha-chini chhod di hum ne anan-e-husn-e-imkan tod di hum ne sukun sham hai bujhne lage sare ayagh-e-garm-raftari shikasta-tar hasti ki tarah larzan hain gird-o-pesh ke shab-tab nazare wo saat aan pahunchi hai nigah-e-wapsin ke muntazir hain tutte tare mujhe shayad himala ki falak-paimaiyan aawaz deti hain main apni maut se in barf-zaron ki darakhshanda mayyat mein milungi tod dungi halqa-e-zanjir mahjuri