tamam log ibtida mein ek dusre ke samne hujum mein dikhai dene wale kuchh nishan mahz ajnabi phir yaka-yak moajaza tulu ka aur ek ru-e-aftab baadalon ke par se nikal ke ru-ba-ru khiram-e-nur ku-ba-ku purana shahr waqt-e-sham phailta umadta ajnabi hujum hao-hu ke darmiyan moajaza hua aur ek muztarib hasin ru-e-dil-gudaz mere jism o jaan mein dekhte hi dekhte sama gaya wo raushni tha mauj-e-aftab tha bas ek nazar mein jaise main ne us ko pa liya main dam-ba-khud sa rah gaya ye hadsa tha waqia tha kaisa ittifaq tha tulu-e-nur ke jilau mein ek tawil pur-khatar siyah raat shahr mein utar gai