diary roz bulati hai mujhe likhne ko ek muddat se koi sher nahin likkha hai mere sine mein bhi ek dard utha jata hai teri yaaden bhi bahut zehn mein chillati hain pen kaghaz main lun aur koi naya sher likhun baith jata hun so main diary apni le kar misre likhta hun mitata hun main phir likhta hun phenk deta hun phir un misron ke kaghaz ko main gola kar ke phir mere kamre se aahon ki sada aati hai dekhta hun to wahi sare adhure misre dustbin mein pade dam tod rahe hote hain main pas-o-pesh mein pad jata hun us lamha tab aur samajh mein nahin aata hai mujhe itna bhi main ke shaer hun koi ya ke koi qatil hun