ittifaq

ek budhe ke chaar the bete
aapas mein the ladte jhagadte

sakht hua bimar wo budha
beton ko tab pas bulaya

apne har bete se bola
ek ek lakdi tu le aana

ek ek lakdi chaaron lae
bola tab budha yun un se

apna apna zor lagao
chaaron ko ab tod dikhao

chaaron hi ne zor lagaya
koi na un ko todne paya

tab ladkon se bola budha
achchha ab kholo ye gattha

ek ek lakdi le kar todo
ek ko bhi in mein se na chhodo

har ladke ne har lakdi ke
kar diye fauran tukde tukde

tab budhe ne kaha ai ladko
is ka sabab malum hai tum ko

pahle na tutin ab kyun tutin
aisi tuten jud nahin saktin

pahle to wo sab thin ikattha
alag huin to ye dukh paya

yunhi raho tum sab bhi ikattha
tum ko na koi tod sakega

aur jo hue ek ek se juda tum
rahne lage aapas mein khafa tum

barbaadi aasan hai tumhaari
mano dekho baat hamari

yahi to 'jauhar' bhi kahta hai
ladna jhagadna buri bala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close