tumhein kuchh khabar hai ki jab main nahin tha to tab main kahan tha main ek mas ban kar kisi sakht ghere mein jakda hua tha main khunin andheron mein luthda hua tha nahin jaanta tha ki main hun kahan hun nahin jaanta tha ki tum ho kahan ho tumhein kuchh khabar hai koi shakl le kar main janma tha jis din main janma nahin tha khuli aankh se kitne chehre dikhe the khuli habs ke karan wo chehra nahin tha tumhein kuchh khabar hai main jis lamhe janma gaya is jahan mein azan mere kanon mein dali gai thi na jaane mujhe kyun sunai na di thi magar ek gambhir dadhi chubhi thi main rone laga tha mujhe wo azan par sunai na di thi tumhein kuchh khabar hai ki jis lamhe janmi gain tum jahan mein main tum se bahut dur dasht-e-guman mein yunhi rote rote jo hansne laga tha meri wo hansi kya wahan aa rahi thi tumhein kuchh khabar hai kisi hath ki ek halki si dhap ne rulaya tha tum ko mere kan mein tab azan aa rahi thi