aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi, jism hai khwab se lazzat-kash-e-khamyaza tera tere mizhgan ke tale nind ki shabnam ka nuzul jis se dhal jaane ko hai ghaza tera zindagi tere liye ras bhare khwabon ka hujum zindagi mere liye kawish-e-bedari hai: ittifaqat ko dekh is hasin raat ko dekh tod de wahm ke jal chhod de apne shabistanon ko jaane ka khayal, khauf-e-mauhum teri ruh pe kya tari hai! itna be-sarfa nahin tera jamal is junun-khez hasin raat ko dekh aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi, tishnagi ruh ki aasuda na ho jab tera jism jawani mein hai nisan-e-bahaar rang-o-nikhat ka fishaar! phul hain, ghas hai, ashjar hain, diwaren hain aur kuchh sae ki hain mukhtasar o tira-o-tar, tujh ko kya is se gharaz hai ki khuda hai ki nahin? dekh patton mein larazti hui kirnon ka nafuz sarsaraati hui badhti hai ragon mein jaise awwalin baada-gusari mein nai tund sharab tujh ko kya is se gharaz hai ki khuda hai ki nahin kahkashan apni tamannaon ka hai rah-guzar kash is rah pe mil kar kabhi parwaz karen ek nai zist ka dar baz karen! aasman dur hai lekin ye zamin hai nazdik aa isi khak ko hum jalwa-gah-e-raaz karen! ruhen mil sakti nahin hain to ye lab hi mil jaen, aa isi lazzat-e-jawed ka aaghaz karen! subh jab bagh mein ras lene ko zambur aae us ke bose se hon madhosh saman aur gulab shabnami ghas pe do paikar-e-yakh-basta milen, aur khuda hai to pasheman ho jae!