ek ladki thi kitni pyari indara us ka nam us ka bachpan nat-khat chanchal shor machata guzra us ka azm qadam qadam par lawa bin ka biphra ek ladki thi kitni pyari indara us ka nam us ke andar kitne tufanon ki rang bhari shakti thi us ke andar manawta ki aag ubalti rahti thi ek ladki thi kitni pyari indara us ka nam samraj se takrai thi jab us ki banar sena sukh ke din bitin sab ke aazadi ho din raina ek ladki thi kitni pyari indara us ka nam 'gandhi' aur 'nehru' ki wirasat us beti ke nam aai is mitti se tilak rachao jis dharti ke kaam i ek ladki thi kitni pyari indara us ka nam bachcho karo parnam