dabi hui hai mere labon mein kahin pe wo aah bhi jo ab tak na shoala ban ke bhadak saki hai na ashk-e-be-sud ban ke nikli ghuti hui hai nafas ki had mein jala diya jo jala saki hai na shama ban kar pighal saki hai na aaj tak dud ban ke nikli diya hai be-shak meri nazar ko wo ek partaw jo dard bakhshe na mujh pe ghaalib hi aa saki hai na mera masjud ban ke nikli