kal ki baat lagti hai

pyar ki kahani bhi
mukhtasar jawani bhi

wo ghadi suhani bhi
waqt ki rawani bhi

kis ke hat lagti hai
dasht bahr-o-bar ambar

phul chashm-e-tar gauhar
aaina ho ya patthar

fitna-sazi-e-manzar
wardat lagti hai

tarf-e-gul khile the jab
zakhm hi sile the jab

gham ke silsile the jab
tum ko kuchh gile the jab

sab ki mat lagti hai
apni bhul kuchh bhi ho

aur usul kuchh bhi ho
arz-o-tul kuchh bhi ho

jab qubul kuchh bhi ho
kaenat lagti hai

shokhiyan iradon ki
nim-jaan muradon ki

zist kam-sawadon ki
be-shumar yaadon ki

ek baraat lagti hai
bakht-e-na-rasai de

har koi duhai de
jab na kuchh dikhai de

kaun rahnumai de
sakht raat lagti hai

jabr ki siyah-poshi
aur qaza ki ham-doshi

hasrat-e-wafa-koshi
maslahat ki khamoshi

bas najat lagti hai
uf ye daur-e-bechaini

uljhanen masail ki
soch mein baghawat bhi

jis se shairi meri
aks-e-zat lagti hai

ai meri muhit-e-jaan
kar chuke har ek makan

nazr-e-shahr-e-be-mehran
ab to rahat-e-dauran

be-sabaat lagti hai
jaise khwabon ki chilman

wo ujad sa aangan
ye hara-bhara gulshan

sal ho gae pachpan
kal ki baat lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close