iztirab

kitni hi soi dopahron mein
kitni hi jalti raaton mein

har khwab adhura
mud mud kar

jaane kya dhunda karta hai
kuchh bhige pal

bojhal qadmon ki chap liye
hairan pareshan

puchhte hain
ye mod kahan tak jata hai

kuchh be-hangam si taswiren
dhundli dhundli

be-dol se kuchh lambe sae
viran humakti tanhai

ummid ke raushan-danon se
kya manzar dekha karti hai

sannate ke is shor mein bhi
mauhum si ek ummid kabhi

karwat karwat khud se puchhe
aawaz abhi jo gunji thi

wo bang-e-jaras thi
ya koi

pazeb kahin takrai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close