aur phir kuchh yun hua lafz ki takrar se murtaish izhaar se uqda-e-dushwar se shairi ukta gai shairi ki be-karan mauj-e-takhayyul yun uthi tangna-e-nazm-o-naghma gum hui imtiyaz-e-bahr-o-bar mitta gaya ehtimam-e-zauq-tar jata raha chashma-e-wahm-o-guman phutta hai wadi-e-ijz-e-bayaan ke wast se phailti hai khirgi lamha-e-makus hai aab-ju-e-khwab hai paiham rawan jhil surat harf sakit hain magar jhilmilate hain maani lafz ke talab mein baat gahri hai bahut saz bhi khamosh hai gunjalak sanjog se maujib-e-na-guftani qabil-e-izhaar hai han magar wo sheriyat dur ek layaniyat ke be-aman patal mein barsar-e-paikar hai