ja main ne tujhe aazad kiya jab meri mohabbat ki teri nazron mein koi waqat hi nahin izhaar ka mere tere liye mani hi nahin waqat hi nahin jab meri hifazat ne tujh ko is darja hai bezar kiya ki tu ne hi meri chahat ko ruswa yun sar-e-bazar kiya kyon be-qadre ki khatir yun ye waqt apna barbaad kiya ja main ne tujhe aazad kiya moti ke khilae the dane makhmal mein tujhe malbus kiya pairon mein tere ye dil tha mera koi ashk tera girne na diya le main ne mohabbat ke apne is pinjre ka dar khol diya ab tujh ko ijazat hai is ki parwaz jahan kar bol diya jaane pe tere sunna hum ne na shikwa na fariyaad kiya ja main ne tujhe aazad kiya ab par tere kamzor nahin mujh mein sunne ka zor nahin ki qaid kiya main ne tujh ko ye sun kar dil bezar hua ehsas hua hai shiddat se ghalati thi meri jo pyar hua jo chahe jahan chahe ja kar tu apna basera ab kar le be-kar hi apne aap ko yun chahat mein teri barbaad kiya ja main ne tujhe aazad kiya ja main ne tujhe aazad kiya