kuchh gharon ke lawazimat mukhtasar hote hain ek bistar jis ke sath aap ko nind alahada se kharidni na pade ek gul-dan jis mein itne phul rakhe ja saken ki agar aap ko hangami haalat mein phulon ki zarurat pesh aa jae to aap ko kisi bahaar ka intizar na karna pade ek chhat wala pankha jise aap sone se pahle apni kahani suna saken ek chulha jis par aap apne safar ke izafi hisson ko jala saken ek refrigerator jis mein aap sharab rakh kar bhul jaane ka khadsha mol le len ek t w jis par aap khabar-name mein apne nam ki khabar sunne ke intizar mein zindagi basar kar den kuchh darwaze jin par aap apne pas jama-shuda bahut si dastakon ko kharch kar saken kuchh khidkiyan jin mein se aap kabhi kabhaar chand ko dekh saken ya manus samt se aane wali khushbu ko rasta de saken ek raushan-dan jahan koi bhi parinda aa kar ghonsla bana sake aur aap ko bata sake ki aap ka ghar kitni tezi se simatta hua aap ki taraf badh raha hai ek ghadi jise dekh kar aap parinde ki baat par ghaur kar saken ek kursi jis par baith kar aap raushan-dan mein rahte parinde ke sath guftugu kar saken ek mez jo aap ke hathon ke lams ko pahchan sake ek almari jis mein aap apne kapdon ke sath apne khwabon ko bhi hanger par latka saken kuchh pantings jin ko dekh kar aap har rang ka bosa apni mahbuba ke liye mahfuz kar saken kafka ki kuchh kitaben jinhen padh kar hamesha aap raushan-dan mein aane wale parinde ke sath gale lag kar ro saken kuchh note-books jin par bahut se mohabbat ke khutut likhe gae jo kabhi post nahin hue kuchh bulb jin ko raushan karke aap apni khud-kushi ka ek achchha sa note likh saken aur wo note raushan-dan mein baithe parinde ko dete waqt aap kah saken ki ye note kisi qaribi haspatal ke pate par post kar do shayad meri lash se mere ghar ka naqsha nikal kar phenk diya jae aur mujhe murda-khane mein apna bistar muntakhab karne mein koi mushkil pesh na aae