mujhe jaane wale ka gham to nahin hai ki jaana muqaddar hai lekin mujhe us se ye puchhna hai ki pahle safar ki hikayat mein gar tahi-damani hai to phir kaun si manzilon ki talab mein ye azm-e-safar hai ye azm-e-safar hai to waqt-e-safar phir udasi ki be-nur chadar lapete nigahon mein viraniyon ko basae har ek aane wale se kyun kah raha hai wo aansu bahae mujhe jaane wale se ye puchhna hai ki andhe safar ki hikayat mein gar tahi-damani hai to hum ko khabar de ki hum apne pahle safar hi mein raste badal len