lamha-e-nau azim hai sozish-e-dil hai kya bala jazb-o-junun bhi kuchh nahin sanjh samaj hech hain rishta-e-khun bhi kuchh nahin hasrat wa aarzu ki nai bandish wa bastagi ki lai damdama-e-qadim hai ahd-e-kuhan guzar gaya lamha-e-nau azim hai aaj ka sehr be-badal aaj ki lau azim hai itr ki ruh mein basi asr ke rup mein rachi phutti pau azim hai ye tag-o-dau azim hai bahr-e-jadid auj mauj is mein guhar hain mauj mauj sath-ba-sath sab sadaf nur ki rau azim hai taza tarin ye jahan taza nujum wa aasman un ki jhalak juda juda un ka jilau azim hai aur hai is ki tab-o-tab aur hai chaal aur chhab jo khad-o-khal hon so hon aaina to azim hai lamha-e-nau azim hai is mein riyasaton ka dhan sare nashat sab mehan aish ka dil-o-badan ghaarat-e-zindagi ka fan ek batan ka marhala