mausam-e-sarma ki ye viran aur maghmum sham kohar ki chadar mein lipti hai sisakti kaenat git khwabon ki tarah larzan sulagti hai hayat barf mein dubi hawa ki sitiyan chil ke jangal ki mithi loriyan dagmagate hain pareshan muzmahil lamhon ke gam chaar-su aawaz de kar puchhta phirta hun main in hawaon ki jabin-e-naz par kya kahin likkha hua hai mera nam ud rahe hain raston par zard patte jo kabhi chand lamhon ko bane the zinat-e-shakh-e-shajar jaane ye kab tak rahenge yun hawa ke dosh par ku-ba-ku qarya-ba-qarya yam-ba-yam mahw-e-safar dukh ke lambe silsile aur chand lamhon ki khushi hae apni zindagi