jab hum donon juda hue the us ne pahni sarma ki raaton mein nikle chand ki sadi main ne pahna apni ban-basi ka chola us ne mangi dhup jo barfon par chamki thi aur hansi ke dariya mein bahte hue hum tak pahunchi thi main ne mangi ghas mein giri hui aawaz us ke hath mein aath pahar ke khwab ka chhota bachcha tha mere hath mein waqt ne apne bij se bahar panw rakha us ki aankh mein naw dubi meri aankh mein ek parinda dar ke dubka us ke hont pe mere nam ka saya tha mere hont pe us ke jism ki barish thi us ke dil mein gum-gashta tahzibon jaisi khamoshi thi mere dil mein tez hawa ki yaad mein khoya mausam tha us ke panw hairat ki sidhi se niche utar rahe the mere panw dil ki zamin se lipat rahe the jab hum donon juda hue the aadha bosa aadha aansu dil mein raha