mere chaaron or makanon se aati aawazen sadkon par lahraati an-ginat motor-caren schoolon se chhanti zinda hansti bhin bhin lamppost se bahti jagmag dhaara hanste logon se bharpur dokanen sadken akhbaron mein chhapne wali unche insanon ki baaten jo barson mein pure honge aise mansubon ki baaten kahti hain hum sab zinda hain arse tak zinda rahna hai agle bis baras mein basti apni pakki sadken le kar jangal ke kone kone mein basti ka mahfuz tasawwur pahuncha degi lekin jangal sadken banne se pahle hi jangal ka qanun uthae aa jata hai basti jangal ban jati hai sab zinda hain basti jangal arse tak zinda rahna hai basti jangal