jaldi miyan

hai nam to khurshed khan
kahte hain sab jaldi miyan

har kaam mein gadbad karen
kamron mein wo khadbad karen

hain der se wo jagte
school jaen bhagte

ustad jab puchhen sawal
ho jaen fauran wo nidhaal

baaton ka un ko shauq hai
kushti ka bhi kuchh zauq hai

aashiq hain wo footbaal ke
dushman hain roti dal ke

halwa magar marghub hai
aur chae bhi mahbub hai

ek din wo jaldi mein chale
dekha nahin tha samne

kele ka chhalka tha pada
us par jo panw rakh diya

phisle chunanche gir pade
aur dard se rone lage

man ne uthaya pyar se
bahlaya phir chumkar ke

jaldi miyan jab chup hue
ammi lagin ye puchhne

chhilka ye phenka kis ne yan
sujhin kise nadaniyan

jaldi miyan ka sar jhuka
tala tha munh par ek laga

jata na tha un se kaha
chhilka to phenka main ne tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close