jab mohabbat kaDwe samundar mein Dub rahi ho

kyon tasawwur kiya jae
napaid hawa mein

ek mazbut dor se bandhe
bahut se rang-birange ghubaron ka

jo hamein yahan se uda kar wahan le ja sakte hon
aur wahan se aage

phir aur bhi aage
kyon dekha jae

gadle aasman par
dhundle sitaron ke darmiyan

chamakte hue chand ko
itni der tak

ki wo khushk kar de hamari aankhon ka pani
kyon baaten ki jaen

apne poshida bagh ke
ranga-rang phulon ke darmiyan

lahlahate surkh gulab se
ya sabz pedon se

ya pedon mein chhupi madhur koyal se
kyon mohabbat ki jae

jab log dhund rahe hon
dusron ko marne ke nit nae asbab

aur soch rahe hon
aziyyat-dahi ke nit nae tariqe

kyon na khali kiya jae
kadwe samundar se bane zahr ka piyala

jab mohabbat kadwe samundar mein dub rahi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close