wo shakh mazbut ho ya nazuk ye munhasir hai kamal-e-fan par ki kaise tinkon ko jodna hai mahin reshon ke tane-bane se kaise diwar jodni hai kahan banana hai dar kahan par jagah dariche ki chhodni hai jahan se baad-e-saba to aae darun-e-khana chale jo aandhi girane pae na aashiyana khulus-o-uns-o-wafa ki rui yaqin-o-isar ke anasir jo honge tamir mein ye shamil to shakh-e-nazuk pe banne wala bhi aashiyan paedar hoga