zindagi ki talkhiyan nakaamiyan tute hue khwabon ki kirchen roz-o-shab ko muzmahil kar den to mere sath aao zara thahro main apni jadu-nagri ki jhalak dikhlaun tum ko wo dekho kis tarah se aasman ke canwas par baadalon ka raqs hota hai kabhi tum ne ghane jangal mein shakhon se tapakte shabnami moti nahin dekhe kabhi sarma ki rut mein barf ki chadar pe bikhri chand ki rupa nahin dekhi kabhi gandum ke kheton mein uga sona nahin dekha kabhi unchi chatanon kohsaron se gai sadiyon ke afsane sune tum ne kisi gambhir sahil se nahin dekha ki kaise chikhta biphra samundar dhire dhire shant hota hai kabhi masum bachchon ki hansi ke nuqrai ghungru samete hain kabhi chahat ke honton se kisi jalte hue mathe ko chuma hai zara socho ki tum ne man ki lori ki halawat khandanon ki sharafat pyar ki rahat nahin pai zara socho ye sari jadu-nagri mehrban duniya tumhaari hai