dilli ki galiyan tin manzar

pahla manzar
san unnis sau adtis hai

sardi ki thithuri raaten hain
raat ke koi aath baje hain

aaj ye sab guzri baaten hain
mori darwaze ke bahar

nashe mein dhut fauji gore
angrezi sarkar ke chhore

tange walon ko pit rahe hain
tange wale ghabra ghabra kar

idhar-udhar sab bhag rahe hain
aur sipahi aankh chura kar

dusri jaanib dekh rahe hain
chalte chalte rah mein ruk kar

main ye manzar dekh raha hun
dusra manzar

fath-puri masjid ke aage
chandni-chowk ka lamba rasta

lal-qile tak le jata hai
hath mein thame apna basta

main maktab ki samt rawan hun
shahjahan ke lal-qile par

goron ka pahra baitha hai
chandni-chowk mein daen-baen

galiyon kuchon bazaron mein
bijli ke khambon par har-su

dheron ladke chadhe hue hain
aur taron ko kat rahe hain

police goli chala rahi hai
chalte chalte rah mein ruk kar

main ye manzar dekh raha hun
tisra manzar

gore london chale gae hain
mangen puri ho gain aaj

neta rah-numa sab khush hain
mulk ne paya hai swaraj

lal-qile par aazadi ka
sah-ranga parcham lahraya

dilli ki galiyon mein sab ne
aazadi ka jashn manaya

lekin eka-eki jaise
parda uttha manzar badla

dhund si chhai hai har jaanib
jo kuchh hai sab gadla gadla

koi nahin sunta hai kisi ki
ho gae log achanak bahre

railon mein be-sar ki lashen
sadkon par be-dhad ke chehre

harijan basti ki kutiya mein
khun se lat-pat lahuluhan

kutiya jaise ek shamshan
gandhi ji ki lash padi hai

aazadi kuchh dur khadi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close