ye nai hai gardish-e-charkh-e-kuhan dushman-e-jaan hai jafa-e-dil-shikan wo bala aai gai hai dil pe ban ab nahin hai hae ja-e-dam-zadan pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan pahle mahshar se qayamat aa gai hashr ke sar par musibat aa gai lab pe gardun ke shikayat aa gai jaan par afsos aafat aa gai pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan lut gaya asbab chhoda sab ne ghar ab hai sahra-e-musibat ka safar haal-e-bad par apne har dam hai nazar is musibat ki na thi aslan khabar pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan muflisi ki har taraf ab hai pukar mal ko rote hain apne mal-dar gham hai khane ke liye lail-o-nahaar aab ki ja ashk de hai chashm-e-zar pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan panw mein juti na sar par hai kulah tan hai uryan sari khilqat hai tabah hai falak ke zulm par sab ke nigah khasta-dil allah se hain dad-khwah pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan hai qayamat ka namuna dekh lo kuchh na bete ki khabar hai bap ko bhai ki bhai ko kab hai justuju bagh-e-alam mein nahin ulfat ki bu pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan farsh-e-gul ki ja hai bistar khar ka rang faq hai har jigar-afgar ka sadma hai andoh ke aazar ka dil fasurda-haal hai bimar ka pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan khwab-ha-e-aish ko kya ho gaya ye hi afsana hai kya tha kya hua kya kiya tu ne ye charkh-e-pur-jafa ye sitam tha ai sitamgar kab rawa pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan aah-bar-lab chashm-e-pur-nam zard rau hai pareshani qayamat mu-ba-mu hae hae ki sada hai chaar-su khak mein sab ki mili hai aabru pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan shahar tha ye sani-e-khuld-barin is chaman ke gul hue sahra-nashin ho gai viran dehli ki zamin is sitam par dil hai rota ai 'mubin' pa-barahna ghar se nikle mard o zan log dehli ke hain sare nara-zan