gulabi chonch mein kide liye udti hai gaurayya jidhar ek aashiyan mein us ke bachchon ne abhi aankhen nahin kholin magar hain bhuk se be-kal machhere subh ki dhundli ridaon mein purane chhapparon ki kokh se shanon pe rakh kar jal nikle hain wahin par khanste hain chand mehnat-kash alao ke kinare bidiyan pi kar falak-paima imarat ke liye mazdur patthar todte hain munhamik ho kar sahar ki surmai dhundli ridaon mein main gahri soch mein gum hun saf-e-danish-waran kya in se bartar hai?