aao zindagi zindagi khelen ye jhut hai ki main tumhaare liye chand tod ke la sakta hun par is khayal ki sachchai ko hi ishq kahte hain ruh jab jalti hai to kundan banta hai teri bewafai ki is se achchhi wajh aur kya ho sakti hai subh se roti kamane mein laga hua hun ab jab sham ho gai hai to sharab pine ka man hota hai mere dagh-e-dil mein ek charagh aisa bhi hai jo amawas ki raat mein meri bujhti sanson ko garmahat deta hai aadmi ki khudai ka waqt kyun nahin aata duniya mar rahi hai koi use bachane kyun nahin aata tere aane se wo tamam adhure khwab pure ho gae jinhen dekhna na meri taqdir mein tha aur na tadbir mein main ek mashhur shair nahin par us se meri shaeri mein dard kam to nahin ho jata kore kaghaz par bhi kuchh shabd baste hain hum bas unhen padh nahin pate kaun kis ke khilaf gawahi de sab ke man mein ek chor to hai hi meri gawahi us ki jaan le sakti hai gawahi na di to mera zamir mujhe mar dega chand doston ke afsane ab parae ho gae hain ab khote sikke jeb mein rakhne ka man nahin hota jab bhi kisi shamshan ke pas se guzarta hun apni auqat pata lag jati hai kal raat aaina dekh kar kyun nahin soya subh apne hi ghar mein paraya ban gaya har shahr har gali mein sirf logon ki chikhen sunai detin hain ram rahim ke is jhagde mein un donon ke alawa sab hain