shahnai bajata hua ek nanha sa machchhar pahuncha kisi maidan mein nale se nikal kar maidan mein kuchh der bhatakta raha machchhar kuchh kaam nahin tha to matakta raha machchhar mausuf ne ek bail ko baitha hua paya tab dil mein sawari ka zara shauq samaya aaram se wo baith gaya sing ke upar phir apne khayalat mein gum ho gaya machchhar do ghante guzar jaane pe mausuf ne socha is bail ko be-jurm-o-khata main ne dabocha ye bail pichak jaega socha nahin main ne ab kuchla gaya pisa gaya mere badan se ye dabta raha surma bana tuti qayamat lekin koi shikwa na kiya wah sharafat