main kya likkhun tumhaare waste ai nim-jaan-o-sokhta-tan wadi-e-qatl-e-aman ke basiyo main kya likkhun koi nauha tumhaare ru-ba-ru sharminda-e-tasir na hoga koi harf-e-hikayat sabr ki taswir na hoga yahi to jagti aankhon se tum ne khwab dekhe the ki is banjar zamin par apne khun ki fasl tankoge har ek manzar mein amn-o-ashti ke rang phaila kar har ek chehre ko nur-e-itminan-e-qalb bantoge isi banjar zamin pe khak-o-khun mein aaj ghaltan ho to phir kyon sar-burida shakh ki manind be-jaan ho ye hona tha to kyon phir is ke ho jaane pe hairan ho mere logo tumhaari band aankhen jagti aankhon ke khwabon ki tumhein tabir deti hain isi banjar zamin mein qabr ki jagir deti hain