jahan hum log rahte hain wahan achchhe-bhale likhe-padhe hi log baste hain imarat-e-ilm aur daulat ki azmat husn ko do-baala karti hai tabassum muskurahat hi-hello aur ba-zahir khush-dili ki barish hoti hai ki jis tezi se yan fashion badalta hai ghurur-e-husn aur zehn-o-dil ki sakht bhi tabdil hoti hai rizalat buzdili aur asbiyat ko yan umda kapdon achchhe chehron mein chhupate hain magar jab ganw jate hain wahan ke kachche ghar kheton mein baghon mein zara aaram karte hain uchhalte-kudte bachchon ko aazadi se mard-o-zan ko hanste-bolte jab dekh aate hain ki har gham aur khushi achchhe bure haalat mein wo sachche dil se sath rahte hain na apne zahir-o-baatin mein koi bhed rakhte hain jo nafrat hai to nafrat hai mohabbat dil se karte hain ki man mein jo bhi hota hai zaban se saf kahte hain magar phir laut kar jab shahr aate hain amiron aalimon aur afsaron ke beach rahte hain to ye mahsus hota hai ki hum bimar hain lachaar hain tanha aur qallash hain jahan hum log rahte hain wahan sare hi aise log baste hain